wohi awaz phir goonji hilay pattay urray panchi

~¤Akash¤~

Prime VIP
wohi awaz phir goonji
hilay pattay
urray panchi
fazza main hur taraf pheli hai phir say
khoon aur barood ki milti hui boo
humain phir say sunai day rahi hai
in fazzaon main
wohi ahain
aur unn ki baaz gasht
wohi massom bachon ki adhori siskian
wohi manzar hai phir zair-e-nazar jis main
nazar ki had talak phelay huay hain
chand nakarda gunahon ki saza paye huaye
massom insanon kay jismon kay wohi tukray
jo iss say kabl bhi dekhay thay hum nay
haan abhi bas chand din pehlay
yae akhir ho raha hai kia
humaray ghar kay ander
kis tarha yae aag aa pohnchi
yae kaisa khel hai jiss main
humesha uss ko milti hai saza-e-mot
jo iss khel ka hisa nahin banta
woh larka jo subha kay waqt apnay ghar say nikla tha
hasool-e-rizq ki khatir
mager wapis nahin lota
zara dekho to uss ki maa khari hai
ro rahi hai hospital main
abhi kuch dair main
kuch log aa ker uss kay betay ki
adhori lash kay tukray ussi ko sonp jayen gay
ghari bhar ka dhamaka
kiss qadar logon ki sari zindagi tabdeel ker daita hai
koi janta na tha
woh dekho aik bacha bhi yahin hai
kiss qadar sehma hua hai
apni maa kay sath betha hai
samjhta hai abhi kuch dair main papa yahan aa ker
ussay ghar lay kay jayen gay
ussay ab kon samjhaye
kay jo aisay chala jaye kabhi wapis nahin aata
humain ab rokna ho ga tamam aisay manazir ko
tamam aisay anasir ko
jo in sargarmion main hain mulavis
rokna ho ga sabhi aisay anasir ko jo dar pay hain
humaray mulk-o-millat ka yae shiraza bikhar jaye
inhain ab rokna bhi ik tarha ka qarz hai hum pay
jahad ab farz hai hum pay
jahad ab farz hai hum pay
 
Top