woh jakhm abhi tak ristaa hai,yeh haal sunaana chhod diya.

~¤Akash¤~

Prime VIP
jab dil mein basne waalon ne is dil ka sheesha tod diya,
humne dil ki deewaron par tasweer sazaana chhod diya.

hum ulte behte dariya mein kyun tair rahe the naa jaane,
jab humko yeh ehsaas hua to dariya ka rukh mod diya.

ek hoor ki chahat thi mujhko,usne aisa dil toda tha,
woh jakhm abhi tak ristaa hai,yeh haal sunaana chhod diya.
 
Top