Wo

wo ek ladki jo meri ghazal hai,
wo ek ladki jo khilti kamal hai,
wo ek ladki jo taaz mahal hai,
wo ek ladki tum hi to ho,
wo uski gesoo kaali ghatayen,
wo uski palkon se lahrati hawayen,
wo uski yaaden meri wafayen,
wo ek ladki tum hi to ho,
wo uski aanken chamakte moti,
wo uski palken aankhon ko chhooti,
wo uske gaal sehra-e-moti,
wo ek ladki tum hi to ho,
wo uske lab gulaab jaise,
wo uska maatha khuli kitaab jaise,
uski mushkaan se girte phool jaise,
wo ek ladki tum hi to ho.
 
Top