"use kehna" abhi tak dil dharkta hai,

~¤Akash¤~

Prime VIP
"use kehna"
abhi tak dil dharkta hai,
abhi tak saans chalti hai,
abhi tak meri ye aankhen,
sunehre khwaab bunti hain,
mere hoton ki jumbish main,
tumhara naam rehta hai,
abhi baarish ki boondon main,
tumhara pyaar baki hai,
use ye bhi bata dena,
abhi izhaar baki hai,
abhi yaadon ke kaanton se,
mera daaman ulajhta hai,
tumhara pyar seene main,
kahin ab bhi dharkta hai,
hawa ab bhi muwafiq hai,
hamare saath chalti hai,
use kehna...........
judai ka mausum abhi nahi aaya,
mohabbat ki kahani main,
magar sab kuch badalne main,
bhala kya der lagti hai,
naya suraj nikalne main,
bhala kya der lagti hai,
use kehna........
wo jaldi faisla kar le,
naye rishton pe chalne main,
bahla kya der lagti hai......
 
Top