Urdu Poetry only.

Bayaan Har Kisi Se Hijr-O-Wisaal Karty Ho
Kiun Apna Shehr Me Jeena Muhaal Karty Ho,
Bichhar Ke Bhala Miley Han Musaafir Bhi
Kiun Apny Aap Ko Yunhi Niddhal Karty Ho,
Suna He Woh Bhi Tumhain Poochta Hay Aisy Hi
Tum Us Ke Bary Me Jesey Sawal Karty Ho,
Woh Aashnaai Usy Yaad Hi Na Ho
Shayd Woh Jis Ke Nam Pe Sb Maah-O-Saal Karty Ho,
Bohat Aziz Tha Shayd Woh Is Lye
Bichharny Waly Ka Ab Tak MALAAL Karty Ho...!!!


by :dn
 
Dunya Me Jeeny Ki Chaahat Na Hoti
Agar KHUDA Ne Mohabbat Banai Na Hoti,
Loog Marny Ki Aarzoo Na Karty
Agar Mohabbat Me Bewafai Na Hoti,
Yaadon Me Humari Woh Bhi Khoey Hongy
Khuli Aankhon Se Kabhi Woh Bhi Soey Hongey,
Manaa Husn Hai Adaa Gham Chupane Ki
Par Hansty Hansty Kabhi Woh Bhi Roey Hongy...!!!


by :dn
 
Aj main bohat udas tha
Apna na koi pass tha Yadian ..
kuch ayeen thiin
Anso b sath Layi thin
Lehrain uthee thii Kuch ghum ki
Alam bebasi Ka Kuch youn tha
Kashmakash hai samandar main
Ghum tanhai k azab main
Muhabbaton k sarab main
Awaz mairy apno ki
Ghunjhati mairy kano main
Sawal un ki ankho main
Jwab mairy ansoo main
Mousam-e-Dil bohat kharab tha Aj
Main Bohat udas Tha !
Apna na koi Pass Tha...!!!!!


by :dn
 
woh aadmi hi kya hai , woh to aadmi nahi,
jis ko kisi ke dard ka ehsaas hi nahi,
chaho kisi pe marna to mar bhi na pao main,
dil manta hai akal magar manti nahi,
zarbe laga laga ke baraati hai aur bhi,
duniya kisi ka dard magar banti nahi,
aisi lagake wo gya aatish firak ki,
barso se ro rahi hun par yo buji nahi,
roye khushi se barah par jaan lijiye,
duniya kisi ke dard ko pehchanti nai,
kaise dikhayi de tuje manzil ka rasta,
aakhon mein tere dil ki agar roshni nahi,
tuje kisne bewaffa kaha kuch yaad kijiye,
yeh baat maine suni to hai lekin kahi nahi,
padiye kalaam-e-daag abhi aur gor se,
abhi apke ke kalaam mein barajsatgi nahi,
barso ke baad mil ke tuje sab hain ashakbar,
$anam tumahare aane ki kisko khushi nai.......
 

Jaswinder Singh Baidwan

Akhran da mureed
Staff member
_Urdu_ is, one of the most absorbing and meaningful language indeed !

*nikaah & janaaza...*

The _difference_ between a *wedding* and a *funeral* beautifully captured in a _poem_ called :

*farq sirf itna sa tha*

teri *doli* uthi,
meri *mayyat* uthi,
phool _tujh_ par bhi barse,
phool _mujh_ par bhi barse,
*farq sirf itna sa tha....*
tu _saj_ gayi,
mujhe _sajaya_ gaya..

_tu_ bhi ghar ko chali,
_main_ bi ghar ko chala,
*farq sirf itna sa tha....*
tu _uth_ ke gayi,
mujhe _uthaya_ gaya...

*mehfil* wahan bhi thi,
*log* yahan bhi the,
*farq sirf itna sa tha....*
unka _hasna_ wahan,
inka _rona_ yahan...

*qazi* udhar bhi tha,
*moulvi* idhar bhi tha,
do bol _tere_ padhe,
do bol _mere_ padhe,
tera *nikaah* padha,
mera *janaaza* padha,
*farq sirf itna sa tha...*
tujhe *apnaya* gaya,
mujhe *dafnaaya* gaya...
 
Top