Urdu Poetry only.

Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena

Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena

Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena

Main Tujhse Duriyan Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena

Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena

Main Teri Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena

Mujhe Achha Laga “$anam”
Tujhe Pa Kar Ganwa Dena...
 
Duniya Mein Hun Duniya Ka Talabgaar Nahi Hun
Bazaar Se Guzra Hun Kharidaar Nahi Hun

Zinda Hun Magar Zist Ki Lazzat Nahi Baaqi
Afsos Ye Hai Ke Me Hoshiyar Nahi Hun

Is Khana-E-Hasti Se Guzar Jaunga Belaus
Saya Hun Faqt Naqsh-E-Deewar Nahi Hun

Wo Gul Hun Khizan Ne Jise Kumla Sa Diya Hai
Uljhun Kisi Daman Se Me Wo Khaar Nahi Hun

Afasurdaa Hun Ibrat Se Dawa Ki Nahi Haajat
Gam Ka Mujhe Ye Zauf Hai Beemar Nahi Hun..!!..
 
Top