Urdu Poetry only.

Tere aye ishq tamaachay se khuda hi hafiz
dono majboor hain, kya aaqil o kya deewana
tere hathon se na aashiq ko na mashooq ko chain
dono jalte hain, idhar shamma udhar parwana
kaaba o dair me aye shaikh tafawat kya hai
dono un ghar ka wohi aik hai sahab-khana...!!



by .....saad.....
 
Raat bhar sard hawa chalti rahi
Raat bha hamne alaav taapa
Maine maazi se kai khushk see shaakhien kaati
Tumne bhi guzre hue lamhon ke patte tode
Meine jebon se nikali sabhi sukhi nazme
Tumne bhi haathon se murjhaaye hue khat khole
Apnee in aankhon se meine kai maanze tode
Aur haathon se kai baasi lakeeren phenki
Tumne palkon pe nami sookh gayee thee, so gira di

Raat bhar jo bhi mila ugte badan par humko
Kaat ke daal diya jalte alaawon main use
Raat bhar phoonkon se har lau ko jagaye rakha
Aur do zismon ke indhan ko jalaye rakha
Raat bhar bujhte hue rishte ko taapa humne


by :dn
 
Wohi chashma-e-baqa tha, jise sab saraab samjhe
wohi khwab moatabar thay, jo khayal tak na pohche
tera lutf wajah-e-taskee'n, na qaraar sharah-e-gham se
k hain dil me wo gile bhi, jo malaal tak na pohche
kiye aarzu se paima'n, jo ma-aal tak na pohche

shab-o-roz-e-aashnaai, mah-o-saal tak na pohche
wo nazar na baham na pohchi, k moheet-e-husn karte
teri deed k waseelay....khad-o-khaal tak na pohche
koi yar jaa'n se guzra, koi hosh se na guzra
ye nadeem yak-do-saaghar.... mere haal tak na pohche
chalo faiz dil jalayen..... karen phir se arz-e-jaana
woh sukhan jo lab tak aaye...pe sawaal tak na pohche....!!

by
.....saad....
 
Bari mudat sey chaha hey tumhain
Bari duaoon sey paya hai tumhain…
Tumhain bhulaaney ka socho b kasey
Kismat ki lakiron se churaya hai tumhain…!!
`
Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log
Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log
Tu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi
Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log…
`
Raabton, Rishton Mai Uljhan Thi Bohot
Is Nizam-E-Shehr Mai Rehne Ki Himmat Hi Na Ki
Lafz Yeh Logon Mai Raij Tha “Bohot”
Is Liye Is Shehr Mai Hum Ne Mohabbat Hi Na Ki…
`
Har Taraf Aap Ki Yaad Par Laga Ke Pehra
Jee Kara Kar Ke Betha Tha Ke Mat Yad Aye
Nagahan dil kisi baat par aesa dukha,
Mai Bohot Roya, Mujhe Aap Bohot Yad Aye…
`
Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona Pyaare
Tum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa Pyaare
Aao Mil Kar Dukh Ke Lamhe Kaaten
Ik Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare…
`
Rota Hun To Ahbaab Bura Maante Hain
Hansta Hun To Mujrim Mujhe Gardante Hain
Har Haal Mai Aetiraaz Karne Waale
Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain…
`
Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat
Wo Shakhs Ke Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi Hai
Yeh Ishq-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai
Paana Bhi Nahi Hai, Usse Khona Bhi Nahi Hai..
`
Dekhte Hain Aaj Hum Us Raah Ki Weeraaniyan
Yaaron Ke Sang Kaati Jahan Hum Ne Zindaganiyan
Guzar Gaya Wo Daur, Bichar Gaye Sab Dost
Sath Reh Gaen To Un Lamhon Ki Kahaniyaan..
`
Kisi Ki Dhun, Kisi Ke Gumaan Mai Rehte Hain
Hum Ek Khuwab Ki Surat Jahan Mai Rehte Hain
Ghamon Ki Dhoop Se Darte Nahi Hain Wo Amjad
Kisi Nigaah Ke Jo Saiybaan Mai Rehte Hain..
`
Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai
Ahsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati Hai
Mai Barhta Hun Zindagi Ki Janib Lekin
Zanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai..


By :dn
 
Mere hamsafar, mere saayeba’n,
Meri zindagi, mera kul jahan,
Hain raah hayaat ke silsley,
Kabhi furqtain, kabhi faasley,
Rahen tere sath rawaa’n dawaa’n,

Mere karwaan, mere kaafley,
Tu hi ru’bru, tu hi hai nihaa’n,
Mere hamsafar, mere saayeba’n,
Teri mulaqaat ki khawhishen,
Teri aarzuu, teri chahtein,
Shab-o-roz teri justujuu,
Tujhe dhoondti phiroon ku’bkuu,
Tu mera yakeen, to kaheen gumaa’n,
Mere hamsafar, mere saayeba’n..!!


BY BILAL
 
Top