Urdu Poetry only.

Fiza me garm bagoolon ka raqs jaari hai
ufaq pe khoon ki meena chhalak rahi hai abhi
kahan ka mehr-o-munawwar, kahan ki tanweeren
k baam-o-dar pe sayahi jhalak rahi hai abhi....

Fizaaen soch rahi hain, k ibn-e-aadam ne
khirad ganwa k, junuu aazma k kya paaya??
wohi shikast-e-tamanna, wohi gham-e-ayyam
nigaar-e-zeest ne sabkuch luta k kya paya...!!



by :dn
 
decembar ki Sard ratain phir


Dar pe dastak denay lagien
Jaisey udasiyan pichley baras
Ki loutney hon lagien
Phir aik kohra bahir chah jaye ga
Doja kaheen ander buhat gehrai may
Sar uthaye ga

Jugnu bhi yaadon ke ooud ayen ge
Sung kuch
Talkhiyan
Wehshatain
Aahatain
Kuch zakhm zakhm muskrahatin
Kuch tooti kirchi kirchi chahatain
Bhi le ayen ge

Jab bhi khunk hawa
.
.
.
.HumA
 
Top