Urdu Poetry only.

Abhi To Baat Lamhou'n Tak Hai Saaloun Tak Nahi Aaii
-Abhi Muskanou'n Kii Nobat Bhi Na'alou'n Tak Nahi Aaii
-Abhi To Koii Majboorii Khyalou'n Tak Nahi Aaii
-Abhi To Gard Pairou'n Tak Hai Baaloun Tak Nahi Aaii
-Kaho To Lout Jatey Hain
-Chalo ikk Faisla Karney Shajar Kii Oar Jatey Hai'n
-Abhi Kajal Kii Dourii Surkh Galou'n Tak Nahi Aaii
-Zubaan Dantou'n Talak Hai Zehar Pyalou'n Tak Nahi Aaii
-Abhi To Mushk E Kastoorii Ghazalou'n Tak Nahi Aaii
-Abhi Roodad E Be-Unwaan Humarey Darmiyaa'n Hai
-jo Dunya Walloun ki nazrou'n mai ab tak hii Nahi Aii
-Kaho To Lout Jatey Hain
-Abhi Nazdeek Hain Ghar Aur Manzil Door Hai Apni
-Mabada Naar Ho Jaye Yeh Hastii Noor Hai Apni
-Kaho To Lout Jatey Hain
-Yeh Rasta Pyar Ka Rasta
-Rasan Ka Daar Ka Rasta
-Bohat Dushwaar Hai Janaa
-K Is Rastey Ka Har Zarra Bhi ik Kohsaar Hai Janaa
-Kaho To Lout Jatey Hain
-Meray Barey Na Kuch Socho
-Tumhara Narm O Nazuk Haath Ho gur Meray Hathou'n Mein
-To Main Samjho'n K Jaisey Do Jhaa'n Hain Meri Muthii Mein
-Tumhara Kurb Ho To Mushkilie'n Kafoor Ho Jaie'n
-Yeh Andhay Aur Kaaley Raastey Pur-Noor Ho Jaie'n
-Tumharey Gaisoou'n Kii Chaoun Mil Jaye
-To Sooraj Sey Ulajhna Baat Hii Kya Hai
-Utha Lo Apna Saya To Meri Auqaat Hii Kya Hai
-Mujhey Maloom Hai Itna K Daiyem Zindgii Posheeda Hai In Chaar
Qadmoun Mein
-Bohet Sii Raahatie'n Muzmir Hain In Dushwaar Rastou'n Mein
-Meray Barey Na Kuch Socho
-Tum Apni Baat Batlaao
-Kaho to Chaltey Rehtey Hain
-Kaho To Lout Jatey Hain ....!!!!!!
 
Naaqis bayan, us pe kahani me itne jhol
ham aise iqtabas pe kya tabserah karen
lutne ki apna karwan jisko khabar na ho
us hosh pe, hawaas pe, kya tabserah karen...!!


meaning...
naaqis... incomplete
iqtabas....excerpts, short portion extracted
tabserah...discussion


By SAAD
 
Top