Tumhari yaadon mai aksar main sona bhul jata hoon

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tumhara Naam likh likh ker Mitana bhool jata hoon
Tumhein jab Yaad karta hoon, Bhulana bhool jata hoon

Bahut si aisi baatein hain jo Mere Dil mai rehti hain
Magar jab Tum se milta hoon, Sunana bhool jata hoon

Tumhare baad ab her pal badi Mushkil se Kat-ta hai
Mai aksar Tum ko Khuwabon mai, Batana bhool jata hoon

Main her Shaam kehta hoon Tum ko bhool jaoonga
Magar jab Subah hoti hai, Iraada bhool jata hoon

Tumhari yaadon se ab abaad meri jindagi hai
Tumhari yaadon mai aksar main sona bhul jata hoon
 
Top