tumhare sahare ki zaroorat hai!

~¤Akash¤~

Prime VIP
yeh tanhaayi kaa aalam,
yeh gumsum sa mausam,
yeh khamosh havaayein,
yeh thehra hua sa jeevan,
ke maut aa gayi ho waqt ko jaise!

shayad waqt ko tumhari saansoin ki zaroorat hai,
shayad in sab ko tumhari aahat ki zaroorat hai,

haan, meri tarah in sab ko bhi,
tumhare sahare ki zaroorat hai!
 
Top