Tum ne wahda kiya tha ane ka

SehaJ

Troublemaker
Tum ne wahda kiya tha ane ka apna
Wahda nibhane a jao tum a jao
Har ahhat pe yun lagta hay
Aye ho tum pyaar liye
Lab pe khushi ka geet saja k
Aankhon main ikraar liye
Kab tak yunhi dil bahlayeen
Itna batane a jao
Dhalti jaye raat suhani
Jane tum kab aoo ge
Kab tak hum dedaar ko tarsen
Kab tak dil tarpao ge
Pyaar bhari aankhon main le kar
Khuwab suhane a jao
Tum ne wahda kiya tha ane ka apna
Wahda nibhane a jao tum a jao
 
Top