Tujhe Khone ka Ehsaas satata raha------"

~¤Akash¤~

Prime VIP
"Tujhe Khone ka Ehsaas satata raha------
Har tanhai main Tera pyar yaad aata raha------

------Kabhi to Socha hoga tumne..,
------Kyun khudha mujhe tumse Milata reha,,?

Na milkar bhi agar ban gayi aashiqi apni------
Milne ki lagan mujhe pal pal rulata raha------

------Kaise har jajbaat bataoo tujhko..?
------Meri rooh main saya tera Muskurata raha..

Ye bas darmiyaan hi to hai kuch faasle------
Warna dil ki dhadkan ban tu itraata raha------

------Dekh lo kahin judaii na ban jaye imtihaan apna..
------Waqt ka har sitam kabse mujhe mitaata raha..,

Na jaane kyu tu mujhe yaad aata raha------
Tujhe Khone ka Ehsaas satata raha------"
 
Top