Old Lyrics Tu Kahan Gayi Thi Lyrics - Dharam Karam (1975)

Goku

Prime VIP
Staff member
Tu kaha gayi thi tera
Mar jaye sawariya
Tu kaha gayi thi tera
Mar jaye sawariya
Chidiya jaisi udti firti
Kya mastani gudiya
Tu kaha gayi thi tera
Mar jaye sawariya
Tu kaha gayi thi tera
Mar jaye sawariya
Tu kaha gaya tha teri
Mar jaye sajaniya
Tu kaha gaya tha teri
Mar jaye sajaniya
Ulta chor kotwal ko dante
Ho gayi kaisi duniya re
Tu kaha gaya tha teri
Mar jaye sajaniya
Tu kaha gaya tha teri
Mar jaye sajaniya

Kaha mai gaya tha
Mai to gaya tha
Karne ser chaman me ho
Khadi thi waha pe ek hasina
Masti bhar ke badan me
Mai bhi zara phir uske gale se
Lipata pagal pan me ho
Aage iske kuch bhi nahi
Tu pad gayi kis uljhan me
To baki raha kya
To baki raha kya
Yahi sochu mai bawariya
Tu kaha gayi thi o tera
Mar jaye sawariya

Kaha mai gayi thi
Mai to gayi thi
Karne ser gali me ho
Ek rangila mil gaya aisa
Uski aur chali mai
Pkadi jo usne meri kalayi
Kya kahu kaise khili mai
Ho aage iske kuch bhi nahi
Tu pad gaya kis uljhan me
To baki raha kya
To baki raha kya
Ho bolo meri gulbdaniya
Tu kaha gaya tha teri
Mar jaye sajaniya

Teri kasam hai mai to gaya
Tha pyari bate karne ho
Aur kasam hai mai bhi gayi thi
Tere hi pichhe marne ho
Aage pichhe kuch bhi nahi
Hum pad gaye kis uljhan me
Hum kaha gaye the
Jane hai sari ngariya
Hum kaha gaye the
Hum kaha gaye the
Jane hai sari ngariya
Hum kaha gaye the.
 
Top