Lyrics tere ghar ke saam ne

film: tere ghar ke saamne (1963)
singers: mohd. rafi & lata mangeshkar
music & lyrics: s.d. burman & hasrat jaipuri



tere ghar ke saamne, ik ghar banaauNgaa,
dunyaa basaauNgaa, tere ghar ke saam ne,

ik ghar banaauNgaa, tere ghar ke saamne,

ghar to banaana koi aasaan kaam nehi,
dunyaa basaana koi aasaan kaam nehi,

dil mein wafaaei’n ho’n to, toofaa’n kinaara hai,
bijli hamaare liye, pyaar ka ishaara hai,

tan man luTaauNgaa, tere ghar ke saamne,
dunyaa basaauNgaa, tere ghar ke saamne,

ik ghar banaauNgaa, tere ghar ke saamne,

kehte hay’n pyaar jisse, daryaa hai aag ka,
ya phir nashaa hai koi jeevan ke koi raag ka,

dil mein jo pyaar ho to, aag bhi phul hai,
sachi lagan jo ho to, parvat bhi dhul hai,

taare sajaauNga, tere ghar ke saamne,
dunyaa basaauNgaa tere ghar ke saamne,

ik ghar basaauNgaa, tere ghar ke saamne,

kaaTo’n bhare hay’n, lekin, chaahat ke raaste,
tum kya karoge dekhe’n, ulfat ke waaste,

ulfat mei’n taaj chhute, yeh bhi tumhe’n yaad hoga,
ulfat mei’n taaj bann-ne, yeh bhi tumhe’n yaad hoga,

may bhi kuchh banaauNgaa, tere ghar ke saamne,

dekhe'n ..

dunyaa basaauNgaa, tere ghar ke saamne,
[FONT=&quot]ik ghar banaauNgaa, tere ghar ke saamne.



[/FONT]
 
Top