Full Lyrics Tanha Mera Pyaar - Bypass Road - Mohit Chauhan - Lyrics

Goku

Prime VIP
Staff member
Khamoshi si bhari hai yeh hawa
Baatein kuchh hain adhoori si yahan
Ab kya, ab kya

Dil mein thi jo tere liye ek jagah
Lafzon mein kabhi keh hi na saka
Ab kya, ab kya

Baatein wahi hain
Mulakatein wahi hain
Bas tu hi nahi hai mere paas
Tanha mera pyaar kare intezar
Tu tu hai kahan, tu hai kahan

Baatein karta hoon tere sang main
Yeh maan ki tu abhi hai yahan
Pyaar karta hoon ab bhi tujhe
Yeh jaan ke tu nahi hai yahan

Jaan se zyada bhi chaha hai tujhko
Ab jaan bhi jaaye to kya
Par zinda rahunga bas tere liye hi
Karta rahunga intezar

Tanha mera pyaar kare intezar
Tu tu hai kahan, tu hai kahan
Tu hai kahan, tu hai kahan
 
Top