taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

~¤Akash¤~

Prime VIP
aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam mein kitna badal gaya

kuch din to raha mera aks aayeena naqsh
phir yoon hua keh khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
to kya hua jo hum say zamana badal gaya

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jagah par nahi rahi
jatay hi aik shakhs kay kya kya badal gaya

ik sargoshi ki moj nay kaisa kya kamal
woh be-niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
pardaah utha to saara tamasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton mein apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko ghar kay sehan mein deewar hi bani
ghar ki fizaa makan ka naqsha badal gaya

shayad wafa kay khel mein uktaa gaya tha woh
manzil kay qareeb aa kay jo rasta badal gaya

qayam kisi bhi haal pay duniya nahi rahi
taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya
 
Top