Lyrics Singham - Saathiyaa

rickybadboy

Well-known member
saathiyaa saathiyaa pagle se dil ne yeh kya kiya
chun liya chun liya tujhko deewane ne chun liya
dil toh uda uda re aasman mein badalon ke sang
yeh toh machal machal ke ga raha hai sunn nayi si dhun
(badmash dil toh thag hai bada badmash dil yeh tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada) - 2

achi lagey dil ko mere har teri baat re
saaya tera ban ke chalun etna hai khwaab re
kaandhe pe sar rakh ke tere kat jaaye raat re
bitenge din thaame tere haathon mein haath re
yeh kya hua mujhe mera yeh dil fisal fisal gaya
yeh kya hua mujhe mera jahaan badal badal gaya
(badmash dil toh thag hai bada badmash dil yeh tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada) - 2

nindhein nahin chaina nahin badlun mein karwatein
taare ginu ya main ginu chaadar ke sarwatein
yaadon mein tu khwaabon mein tu teri hi chahatein
jaaon jidhar dhunda karuin teri hi aahatein
yeh jo hai dil mera yeh dil suna na keh raha yahi
woh bhi kya zindagi hai zindagi ki jis mein tu nahin
badmash dil toh thag hai bada badmash dil yeh tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada
saathiyaa saathiyaa pagle se dil ne yeh kya kiya
chun liya chun liyaa tujhko deewane ne chun liya
dil toh uda uda re aasman mein badalon ke sang
yeh toh machal machal ke gaa raha hai sunn nayi si dhun
(badmash dil toh thag hai bada badmash dil yeh tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada) - 2
 
Top