Aaj ke daur men Ae dost ye manzar kyun hai
ZaKhm har sar pe har haath men pathar kyun hai
Jab haqiqat hai ke har zarre men TU rhta hai
Phir zamin par kahin masjid kahin mandir kyun hai
Apna anjaam to malum hai sab ko phir bhi
Apni nazron me har insan sikandar kyun hai
Zindagi jeeney ke qaabil hi nahin AB
Verna har ankh me ashkon ka samandar kyun hai