Shayari Ki Manzil

Shayari Ki Manzil To Door Bohat Hai,
Abhi To Insaaniyat Ka Paath Padhta Hu,

Kuch Likh Na Ska,Kuch Ban Na Ska,To Koi Gamm Nahi,
Dil Ko Tasalli To Hai K Koshish To Karta Hu,

Bhatak Na Jau Kahi Uski Bandgi Se,
Tabhi To Khuda K Dar Pe Sajda Karta Hu,

Mana K Kante Hain Sach Ki Raahon PE AMRINDER,
Magar Khuda K Siwa Na Kisi Se Darrta Hu,

Laakhon Ilzaam Lagte Hain Har Roj Mujh Pe,
Kyon K Har Baat Jo Kayede Ki Karta Hu,

Buzdil Nahi Jo Chhup K Waar Kar Dunga,
Jo Bhi Ho Anjaam,Baat Shareaam Karta Hu,

Jhooth K Pehredaar Kya Mera Jism Jalaenge,
Arey Main To Rooh Se Waar Karta Hu,
Range Hain Haath Maine Kufar K Khoon Se,
Har Roz Jhooth Ka Qatal Main Karta Hu,

Chalna Hai In Raahon Par To Baandh Lo Kafan,
Kalam Ko Chahne Walon Pe Main Sir Utha K Fakhar Karta Hu...

Shayari Zindabaad..

Ä
 
Top