shararat na hoti shikayat na hoti nigaho mein kisi ki nazaka

~¤Akash¤~

Prime VIP
shararat na hoti
shikayat na hoti
nigaho mein kisi ki
nazakat na hoti

na hoti bekarari
na hote hum tanha
jo jahan mein kambakht
ye mohabbat na hoti

na hote ye sapne
ye khawabon ki duniya
kisi ko chahat ki
tamanna na hoti

na zulfon ki chhaya
na phulon ki khushboo
yadon mein unki
ye rate na kat-ti

jo na hoti ye mohabbat
ye aansu na hote
DIL bhi na khote
aaj tanha na rote

deewano si apni
ye haalat na hoti
jo jahan mein kambakht
ye mohabbat na hoti...
 
Top