Sari duniya jab gham e dauraa.n se ghabra jaaye hai Apka

~¤Akash¤~

Prime VIP
Sari duniya jab gham e dauraa.n se ghabra jaaye hai
Apka dewana to us dam bhi hansta jaye hai.

Ik ghadi aisi bhi aati hai tasawwur me tere,
Jab khud apne jee se tera haal pucha jaye hai.

Puchte kya ho dil e gham aashnaa.n ke hausle,
Ye safeena wo hai jo toofaa.n se takra jaaye hai.

Zist ke anjaam kya hain gardish e dauraa.n hai kya,
Haath me ho jaam to ye kisse socha jaaye hai.

Us ghazaal e nazar ki main nazr ho chahu.n par,
Unki aankho.n me bhala kab humse dekha jaye hai.

Bas hi kya hai apna Fitrat e mukhtaar par,
Jo dikhaya jar aha hai humko, dekha jaaye hai.










lines main nahi likhiya eslai pta nahi kis diyan ne chalo fir
aasi esnu unknown keh skde haan thank you
 
Top