Bhajan Sai Ji ki Shirdi mein, shraddha se jo jayega...

Dhillon

Dhillon Sa'aB™
Staff member
Sai Ji ki Shirdi mein, shraddha se jo jayega...
Rota hua prani hasta hua aayega....
Sai Ji ki Shirdi mein, shraddha se jo jayega...

Sai Samadhi pe sheesh jo jhukayega,
Sare Jag ke maalik ka, vah darshan payega...
Sai Ji ki Shirdi mein, shraddha se jo jayega...

Charnaamrit pakar jo bhi Sai naam jape,
Sai ke charno mein uska dhyan lag jayega...
Sai Ji ki Shirdi mein, shraddha se jo jayega...

Dwarka Mai mein Akhand Jyoti jalti hai,
Dhuni ki vibhuti se har rog mit jayega...
Sai Ji ki Shirdi mein, shraddha se jo jayega...

Baba ki palki ko, jo bhi kandha deta hai,
Sai uske jeevan ka saara bhoj uthayega...
Sai Ji ki Shirdi mein, shraddha se jo jayega...

Sacchi haqiqat hai, koi afsana nahi,
Sai jaisa daata na aaya hai na aayega...
Sai Ji ki Shirdi mein, shraddha se jo jayega...

Sai bhakton par, daya ki nazar rakhna,
Unhein koi kasht hua, tu bhi dukhi ho jayega...
Sai Ji ki Shirdi mein, shraddha se jo jayega...
Rota hua prani hasta hua aayega...
Sai Ji ki Shirdi mein, shraddha se jo jayega...​
 
Top