Sabko maloom hai main sharabi nahin Phir bhi koi pilaye to m

~¤Akash¤~

Prime VIP
Sabko maloom hai main sharabi nahin
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon

Mujho maikash samajhte hain sub vadakash
Kyunki unki tarah ladkadhata hoon main
Meri rag rag mein nasha mohabbat ka hai
kisi ko samajh mein na aaye to main kya karoon
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon

Haal sunkar mera sehme sehme hain vo
Koi aaya hai zulfen bikhere hue
Maut aur zindagi dono hairaan hain
Dum nikelne na paaye to main kya karoon
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon

Kaisi lat, kaisi chahat, kahan ki khata
Bekhudi mein hai Anwar khudi ka nasah
Zindagi ek nashe ke siva kuch nahin
Zindagi ek nashe ke siva kuch nahin
Tumko peena na aaye to main kya karoon
Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon
Sabko maloom hai main sharabi nahin
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon
 
Top