Romantic Shayari

Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota,
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,
Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam,
Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota…….!!!

******************************

Khamosh Raat Ki Pehlu Mein Sitare Naa Hote,
In Rookhi Aankhon mein Rangeen Najare Naa Hote,
Hum Bhi na Karte Parwah
Agar aap Itne Pyare na hote……

******************************

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai…
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai…

******************************

Us ajnabi ka youn na intezaar karo
Is aashiq dil ka na aitbaar karo
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso
Itna kabhi na kisi se pyaar karo

******************************

Har aahat ehsaas hamara dilaayegi.,
Har hawa khushbu hamari laayegi.;
Hum dosti aisi nibhaayengey yaara!
Ki hum na honge aur humhari yaad tumhe sataayegi..!!!

******************************

Tammana-e-ishq to hum bhi rakte hain,
Kisi ke dil me hum bhi dhadakte hain,
Na jane woh kab milenge
jin ke liye hum roz tadapte hain.

******************************

Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Is par aansu tadap kar bola, Itne logo me apko tanha paate hai, Isliye chale
aate hai!

******************************

Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai,
jhuki nigah ko ikarar kehte hai
sirf paane ka naam ishq nahi.
kuch khone ko bhi pyaar kehte hai.

******************************

Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta,
iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta
chata hun tumhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi karta,
tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera islye apne dard ko bayan nahi
karta

******************************

jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu
mein tere liye khuda se taqrar nahi karta,
par kuch to baat hai teri fitrat mein
zalim warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta

******************************

rich people travel in cars
poor people travel in carts
but people like u
always travel in hearts.

******************************

Aapse nazrein to mila lein par ye to bataiye ki
Aap mein aisa kya dekhein jo dekhte hi deewana banade
Badi mushkil se militi hai zindagi sambhal ke rakhiye
Kahin is shama ko hum parvana na banade

******************************

Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takliff kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane.

******************************

Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.

******************************

Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aj bhi us ke paas hai.

******************************

tere husn ko shabdon mein kaid kar raha hoon
jo rahe nakaam woh koshish kar raha hoon,
amber pe hain lakhon tare chamakte
ek ko is zameen par chamkane ki koshish kar raha hoon

******************************

Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta

******************************

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan!

******************************

Tumhe dil main basaye rakhta hoon
Aur duniya ko bhoolaye rakhta hoon
Tumhe meri nazar na lag jaye
Iss liye nazarein jukaye rakhta hoon

******************************
 
Top