~¤Akash¤~
Prime VIP
Zamane ne mujhko thukra diya hai
Maut ke aur kareeb la diya hai
Kabhi mud ke jo peeche dekhta hoon
Sochata hoon,duniya ne mujhe kya diya hai
Woh jisne mohabbat ki baazi na kheli
Kya khaak zamane mein woh insaan jiya hai
Humari tumhari kuch alag baat hogi
Ishq to duniya mein bahuton ne kiya hai
Bin piye jo main ladkhadda raha hoon
Yeh aankhon ne teri bataa kya kiya hai
Manzil ki talash mein gaya tha main
Raaste ne khud mujhko bhatkaa diya hai