Raah-e-Zindagi Yun Na Tanhaa Kategi......

~¤Akash¤~

Prime VIP
Kabhi To Chatega Fazaa Se Andheraa
Kabhi To Madhur Chandani Raat Hogi..
Kabhi To Jalenge Charag-e-Mohabbat
Kisi Roz Unse Mulakaat Hogi...

Woh Hammen Yaad aaye Shaam Ki Tanhaiyon me
Jo Bikharengi Julfen,To Chaayenge Baadal
Jo Tapkenge aansoo,To Barsaat Hogi..

Ghazab Hai Idhar Meri Jaan Pe Bani Hain
Udhar Unke Paon Me Mehandi Lagi Hain
Agar Aise Aalam Me Bhi Tum Na Aaye
To Kya Qayaamat k din Ke Din Mulakaat Hogi..
Marij-e-Mohabbat Ka Hai Waqt Aakhir
Khuda Ke Liye Ab To Aa Jao..Warna..
Agar Tum Na Aaye Aye Jaane Tamanna
To Yeh Raat Phir Aakhari Raat Hogi.....

Judaai Ke Lamhe Kareeb Aa Gaye Hain
Sitaron Ke Dil Doobte Ja Rahe Hain
Idhar Aaon Tumko Gale Se Laga Loon
Khuda Jaane Phir Kab Mulakaat Hogi.....

Faza Chup,Ghata Chup,Zameen Aasman Chup
Chaman chup,Kali Chup aur Kehkashaan Chup
Idhar Woh Bhi Chup Hain Udhar Main Bhi Chup Hoon
Ilaahi (oh god)Meri Raat Kaise Kategi......


Kahin Geet Gunjenge Shehnaaiyon ke
Kahin Shor-e-Maatam
Kisi Ka Kahise Janaaza Uthega
Kisi Ghar Se dulhan ki Doli Uthegi......

Lage Har Kadam Par Hasino Ke Mele
Kisi Ne Bhi Aye Dil Par Itna Na Poocha
Kaha Ja Rahe Ho Akele Akele
Raah-e-Zindagi Yun Na Tanhaa Kategi......
 
Top