Poetry you like - post here.

Jaswinder Singh Baidwan

Akhran da mureed
Staff member
Har hawa ka jhoka toofan nahi hota
har aadmi insaan nahi hota
pathar to har mod pe milta hai lekin
har pathar bhagwan nahi hota.

Writer:- Unknown
 

Jaswinder Singh Baidwan

Akhran da mureed
Staff member
nazam uljhi huyi hai seene mein
misre atke huye hain hoton pe
lafaz kaagaz pe baithte hi nhi
udte phirte hain titliyon ki tarah
kab se baitha hua hun mein jaanam saada kaagaz pe likh k naam tera
bas tera naam hi mukkamal hai,, is se behtar nazam bhi aur kya hogi..

Gulzar saab:salut
 

Jaswinder Singh Baidwan

Akhran da mureed
Staff member
Main rozgaar ke silsile mein….
kabhi kabhi uske shaher jata hoon….
tou guzarta hue uss gali se………
wo neem-tariq si gali…
aur usike nukkad pe mota purana sa ik khambha.
ussi k niche…
tamam shab intezaar karke..
main chod aaya tha shaher uska.. buht hi khasta si roshni ko teke..
wo khambha aaj bhi wahi khada hai.
futur hai…magar….
main us khambhe ke paas jakar…
nazar bachake mohalley'waloo ki…
puch leta hu aaj bhi ye.
ke….
mere jaane k bad bhi…..
wo aayi to nahi thi……..?
wo aayi thi kya…………..?



Gulzar Saab :salut
 

Jaswinder Singh Baidwan

Akhran da mureed
Staff member
kisi mausam ka jhonka tha
jo is deewar par latki huyi tasveer tirchhi kar gaya hai
gaye saawan mein ye deewarein seeli nahin thi
na jaane kyun is dafa inmein seelan aa gayi hai, daraarein pad gayi hain
aur seelan is tarah behti hai jaise khushk rukhsar par gile aansu chalte hain

ye baarish gungunati thi ... isi chhat ki munderon par
ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par ungli se likh jaati thi sandeshein
bilakhti huyi si baithi rehti hai ab band roshandaron ke picche

dopaharein aisi lagti hain .. bina moharon ke khali khaane rakhein hain
na koi khelne wala hai baazi na koi chaal chalta hai


na din hoti hai ab na raat hoti hai ... sabhi kuch ruk gaya haiwo kya mausam ka jhoka tha jo is deewar par latki tasveer ko tirchhi kar gaya hai

-- Gulzar
 

Jaswinder Singh Baidwan

Akhran da mureed
Staff member
yeh din bhi beet gaya
beet jaayengi sadiyaan yunhi
reh jaayega sirf...
...ek ehsaas...
...khwaab mein beetata ek sach..
..sach se guzerta ek khwaab..
aankhon mein saja.......dilo mein likha
nazm sa ek naam "Gulzar"
 

Jaswinder Singh Baidwan

Akhran da mureed
Staff member
Dard kuch der hi rehta hai bahut der nahi
Jaisey kisi pattey ka rang maand pad jaataa hai shaakh se door ho kar
Shaakh se toot kar ye dard jeeyegaa kab tak
tim-timaayegaa zaraa der tak bujhtey huye diyey ki tarah
aur phir thak ke toot jayegaa, bikhar jaayegaa ye dard
Dard kuch der hi rehta hai bahut der nahi..........

Gulzar Saab :salut
 

Jaswinder Singh Baidwan

Akhran da mureed
Staff member
Aadmi Bulbula hai Paani ka
Aur Paani Kee Behtee Sat-hey par

Toot-ta bhee hai, Doobta bhee hai
Phir Ubharta hai, Phir sey Behtaa hai

Naa Samandar Nigal Sakaa Isko
Naa Tawaareeqh Tor Paayi hai

Waqt kee Mauj par Sadaa Behtaa
Aadmi Bulbula hai Paani ka


Gulzar saab :salut
 

tomarnidhi

Well-known member
one of my favs

Bazeecha-e-atfal hai duniya mere aage
Hota hai shab-o-roz tamasha mere aage

Hota hai nihan gard mein sehra mere hote
ghista hai zabeen khak pe dariya mere aage

Mat pooch ke kya haal hai mera tere peechhe
Tu dekh ke kya rang hai tera mere aage

Imaan mujhe roke hai, jo kheenche hai mujhe kufr
Kaba mere peechhe hai kalisa mere aage.

Go hath ko jumbish nahin ankhon men to dum hai,
Rehne do abhi sagar-o-meena mere aage.

Mirza Ghalib
 
Top