Phool Aur Kante

Saini Sa'aB

K00l$@!n!
Phool Aur Kante
Written By: Ayodhya Singh Hariaudh


Hai janam lete jagat mein ek hi,
Ek hi pauda unhe hai palta.
Raat mein un par chamakta chand bhi,
Ek hi si chandni hai dalta.
Meh unpar hai barasta ek-sa,
Ek-si un par hawaein hai bahi.
Par sada hi yeh dikhata hai samay,
dhang unke ek-se hotay nahi.
Chhed kar kanta kisi ki ungaliyaan,
Faad deta hai kisi ka var-vasan.
Aur pyari titaliyon ka par katar,
Bhaunr ka hai vedh deta shyaam tan.
Phool lekar titaliyon ko godmein,
Bhaunr ko apna anuthaa ras pila.
Nij sugandhi aur nirale rang se,
hai sada deta kali dil ki khila.
Khatakta hai ek sabki aankh mein,
Doosra hai sohata soor shish par.
Kis tarah kulki badhai kaam de,
Jo kisi mein ho badappan ki kasar.
Ayodhya Singh Hariaudh
 
Top