Phir bhi safer kartay rehna koi

~¤Akash¤~

Prime VIP
Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
Sath reh kar bhi us ko na pana kesa lagta hai
Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain
Phool samjh kar kantoon per chalna kesa lagta hai

Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai
Gham chupa kar mehfil ko sajana kesa lagta hai
Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain
Tanhai main gham k ansoo bahana kesa lagta hai

Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil
Us ki yaad main ratoon ko jaagna kesa lagta hai
Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay
Zakham kha kar bhi muskurana kesa lagta hai

Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se
Tab apnay ansoon ko chupana kesa lagta hai
Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin
Phir bhi khud ko ameer batana kesa lagta hai

Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand
Phir bhi baymool bik jana kesa lagta hai
Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay
Phir bhi is ko chahna kesa lagta hai

Maloom hai is dewanee ki Manzil nahin hai koi
Phir bhi safer kartay rehna koi
 
Top