Payaam-e-ajal ko tu ne hi sunaa diya..aiy dost

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tairi berukhi ne humain tadpa diya aiy dost Tairi zid ne sab kuch ganwa diya. aiy dost Hum to basa hi chuke thhe, aashiana-e-dil main Apne hi ghar ko tu ne jala diya... aiy dost Ruwish-e-kazab ka ilzam, maar hi gia humain Belaus dosti ka achha sila diya..aiy dost Dard-e-hijr main jeena naseebun main likhh chukka hai Gham-e-jaan lewa ko aur badaa diya. aiy dost Hum to anaa k haathun pahle hi mitt chuke thhe Achha kia jo tu ne bhi mita diya.. aiy dost Matam-e-mohabbat-e-Nazish main iss ki hi kami thee Payaam-e-ajal ko tu ne hi sunaa diya..aiy dost
 
Top