Lyrics Parwah Nahin Lyrics – MS Dhoni Film | Siddharth Basrur

Miss Alone

Prime VIP
Pathar ke hain sab raaste
Parwah nahin..
Dhundle hain chehre khwaab ke
Parwah nahin..

Chhalni hai seena rehne do
Ab jo bhi ho parwah nahin..

Sanki hua jaata hai dil
Mann ki kiye jaata hai dil
Kadke betahasha ye
Bijli hua jaata hai dil (x2)

Baadal mein dhoondhe honsle
Pagla gaye hain honsle
Gir jaaye ya ude
Ab toote ya jude, parwah nahin..
Parwah nahin.. hey.. yeah..
Parwah nahin.. yeah..
Parwah nahin.. yeah…

Jhute hain ya sachche hain
Sapne aakhir sapne hain
Saare taare tumhi rakh lo
Saare jugnu toh mere hain (x2)

Roke ruke na dil jale
Pagla gaye hain haunsle
Ziddi hain dhadkane
Bigde ya bane, parwah nahin..
Wo.. parwah nahin..
Ho.. parwah nahin..
Yeah.. parwah nahin.. yeah…

Saanson mein jo bhatti hai
Woh raat aur din dehakti hai
Paani-waani toh dhoka hai
Yeh aag aag se bujhti hai (x2)

Aayein toh aaye jaljale
Pagla gaye hain honsle
Sholon pe hum chale
Ab pighle ya jale, parwah nahin!
Wo.. parwah nahin..
Wo.. parwah nahin..
Wo.. parwah nahin..
Wo.. parwah nahin.. o..
 
Top