Pani aankh mein bhar ke

#m@nn#

The He4rt H4ck3r
Pani aankh mein bhar ke laya ja sakta hai,
Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai,


Ek mohabbat aur woh bhi nakam mohabbat,
Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai,


Dil par pani pine aati hain umeeden,
Is chashme mein zeher milaya ja sakta hai,


Mujh benam se puchte hain Farhad-o-Majnoo,
Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai,


Phata purana khwab hai Mera phir bhi ,
Is mein Apna Aap chupaya ja sakta hai.........!!!


By Unknown​
 
Top