Lyrics NFAK - Mangte Hain Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein

»SukhMani«

*Nirbhau Nirvair*
Mangte Hain Karam Un Ka Sada, Maang Rahay Hein
Din Raat Madinay Ki Dua Maang Rahay Hein
Mangte Hain Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein


Husn Pay Jin Ke Jag Matwala-Husn Pay Jin Ke Jag Matwala
Naam Hai Jin Ka Qamli Wala
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein....Mangte Hein Un k Mangte Hein

Sanad Joh Rakhtay Hein
Mehshar Mein Mo Dikhanay Ki
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein....Mangte Hein Un k Mangte Hein

Naaz Jiss Baat Pay Hai-Naaz Jiss Baat Pay Hai
Woh Baat Yeah He Hai K
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein....Mangte Hein Un k Mangte Hein

Hum Hein Ghulaam -Hum Hein Ghulaam
Un Ki Ghulami Pay Naaz Hai
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein....Mangte Hein Un k Mangte Hein

Dozakh Nai Hum Ko Daikh K-Dozakh Nai Hum Ko Daikh K
Malik Say Kaha Ay Malik Chor
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein....Mangte Hein Un k Mangte Hein
Mangte Hein kis k Mangte Hein.. Mangte Hein kis k Mangte Hein


Nigaah-E-Karam Say.. Nigaah-E-Karam Say Hum Ko Na Daikh
Ay Dozakh Kia Pata Nahi K
Hum Kiss K Mangte Hein Mangte Hein... Mangte Hain Kiss K Mangte Hein

Ay Daikhnay Waloon Hamein Hans Hans K Na Daikho
Kia Pata Nahi K Hum Kiss K Mangte Hein
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein....Mangte Hein Un k Mangte Hein

Mangte Khaali Haath Na Lotay, Kitni Mili Khairat Na Poocho
Un Ka Karam Phir Un Ka Karam Hai, Un K Karam Ki Baat Na Pocho
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein....Mangte Hein Un k Mangte Hein

Mangte Hein Karam Un Ka Sada Maang Rahay Hein
Din Raat Madinay Ki Dua Maang Rahay Hein
Kam Maang Rahay Hein Na Siva Maang Rahay Hein
Jaisa Hai Ghani, Waise Ataa Maang Rahay Hein
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein....Mangte Hein Un k Mangte Hein

Jaisa Hai Ghani
Aisa Hai Ghani Woh To Aisa Hai Ghani
Khud Bheek De Aur Khud Keh Mangte Ka Bhala Ho

Zara Unka Dunya Mein Rehna To Daikho
Woh Pathar Ka Tak'kia Aur Kaali Kamarya
Woh To Aisa Hai Ghani

Zamane Ka Data Magar Ghar Mein Faqa
Khudai Ka Malik Magar Pait Khaali
Woh To Aisa Hai Ghani

Koi Mere Mehboob Sa Dunya Mein Nahi Hai
Betha Hai Chata'ii Pay Magar Arsh-E-Nasheen Hai
Woh To Aisa Hai Ghani

Jaisa Hai Ghani Waise Ataa Maang Rahay Hein
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein..Mangte Hein Un k Mangte Hein

Her Naimat-E-Qonain Hai Daman Mein Hamare
Hum Sadqa-E-Mehboob-E-Khuda Maang Rahay Hein
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein... Mangte Hein Un k Mangte Hein

Yoon Kho Ga'ay Sarkaar Ke Altaf-O-Karam Mein
Yeh Bhi To Nahi Hoosh Ke Kia Maang Rahay Hein
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein. .Mangte Hein Un k Mangte Hein

Ey Dard-E-Mohabbat Abhi Kuch Aur Fusuun? Ho
Dewanay Tarapnay Ki Ada Maang Rahay Hein
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein.... Mangte Hein Un k Mangte Hein

Sirkar Ka Sadqa Meri Sarkar Ka Sadqa
Yeh Zameen Aasmaan Yeh Makaan LaMakaan
Meri Sarkaar Ka Sadqa

Dono Jahaan Ka Noor Mohammad Ke Roop Mein
Qur'an Ka Sha'oor Mohammad Ke Roop Mein
Allah Ka Zahoor Mohammad Ke Roop Mein

Such Hai Ke Yeh Taghayyur-E-Dunya Khuda Se Hai
Laikin Yeh Kainaat Faqat Mustafa Say Hai
Meri Sarkaar Ka Sadqa

Sirkaar Ka Sadqa Meri Sarkaar Ka Sadqa
Mohtaaj-O-Ghani Shah-O-Gada Maang Rahay Hein
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein....Mangte Hein Un k Mangte Hein

Ub Laaj Tere Haath Hai Ey Rehmat-E-Qounain
Ghum Ke Maarey Hein, Be-Sahare Hein
Kuch Bhi Hein Aaqa Hum Tumhare Hein

Ub Laaj Tere Haath Hai Ey Rehmat-E-Qounain
Mudfun Ko Madinay(Medina) Mein Jaga Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein

Asraar Karam Ke Faqh? Un Per He Khulay Hein
Koi Data Bana, Koi Khuwaja Bana, Koi Ghous Bana,
Koi Dehli Mein Ja Ke Nizami Bana, Koi Ganj-E-Shakar Ba Khuda Ho Gaya

Asraar Karam Ke Faqt? Un Per He Khulay Hein
Jo Tere Waseelay Say Dua Maang Rahay Hein
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein..Mangte Hein Un k Mangte Hein

Damaan-E-Amal Mein Koi Neki Nahi Khalid(khalid or khaliq The poet?)
Bus Naat-E-Mohammad Ka Sila Maang Rahay Hein
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein ..Mangte Hein Un k Mangte Hein

Din Raat Madinay Ki Dua Maang Rahay Hein
Mangte Hein Karam Unka Sada Maang Rahay Hein
Hum Un K Mangte Hein Mangte Hein.... Mangte Hein Un k Mangte Hein
Mangte Hein Karam Unka...
 
Top