Na tum aati ho na Mout aati hai.....

amanna phir machal jaaye,
agar tum milne aa jao
ye mausam hi badal jaaye,
agar tum milne aa jao

ye duniya bhar ke jhagre,
ghar ke kisse kaam ki baatein
bala har ek tal jaaye,
agar tum milne aa jao

nahin milte ho mujhse tum,
to sab humdard hain mere
zamana mujhse jal jaaye,
agar tum milne aa jao

mujhe gham hai ke maine,
zindagi mein kuch nahin paaya
ye gham dil se nikal jaaye,
agar tum milne aa jao

tamanna phir machal jaaye,
agar tum milne aa jao
ye mausam hi badal jaaye,
agar tum milne aa jao.........

magar afsosh..........

Na tum aati ho na Mout aati hai.....
 
Top