na paane ki chahat na khone ka gum

@n@@m

unknown but known to all
har lamha har waqt yaad dilata hai humein....
unki khushi ke lie kitna badal gaye hum......
na rahi kisi ki chahat na kisi ka gum....

aaj bhi unse kiye waade nibha rahe hain hum.....
na rahi kuch paane ki khushi na khone ka gum.....
unko khokar kho dia sab or kya kho denge hum....
pyaar kia tha unko bepanah fer bhi aaj akele hain hum....
na rahi kisiki chahat na kisi ka gum......

yaadon ka kaarwa statata hai humein.....
na hasne deta hai bas rulata hai humein......
unko khokar kho dia khud ko bhi......
na raha kuch khone ka khwaab na paane ka junoon.....
kehta hai anaam pyaar karne ki saza humne paayi hai...

zinda hoke bhi apni zindagi gawayi hai...
kehne ko to aaj bhi zinda hain hum.....
par zinda hoke bhi ek murda hain hum....
na koi dard ka ehsaas na khushi ka ranjh...
murdo ko na hoti hai kuch paane ki chahat na khone ka gum....

isiliye to kehta hai ye deewana anaam.....
na rahi kisi ko paane ki chahat na khone ka gum.

writer:-anaam(me) :th
 
Last edited:
Top