Na Jaane Kaise Hamari Mulakat Hui…

Hospital mein marne jaisi halat ho gayi,
Aap aaye rote hue, hamdardi jage ne lage,

Mera pura kamra bhar gaya doston se,
Lekin kisiko kya pata wahan thi ek ladki,

Hum sab mein se sabse choti,
Uske haath meinek phul aur aankh mein aansoo,

Phul de kar chali gayi, kuch na boli,
Humne kaha unse, dekha aap se achi yeh ladki hi sahi,

Kuch na bole, kitna kuch keh gayi,
Aap ne kaha, sab tujh se pyaar karte hain,

Humne kaha, dosti bahut kam rakhte hain…
Na jaane kaise hamari mulakat hui,

Na jaane kaise hamari dosti hui
Achanak kaise zindagi ne mod liya,

Na jaane kyon tumhare saath dhoka hua,
Na jaane kyon mera break-up hua,

Achanak se kaise tum laut aaye,
Achanak se kaise hamari dosti gehri hui,

Na jaane kyon humne itni baatein ki,
Na jaane kyon tumhe jaana pada,

Achanak see yeh mehsoos hone laga,
Shayad mujhe pyaar hone laga,

Na jaane kyon tumhare message ka intezaar rehta hai,
Na jaane kyon yeh chehra khil uthta hai,

Na jaane kyon yeh hua,
Na jaane kaise yeh hua,

Achanak se yeh mehsoos hua,
Mujhe tumse pyaar hua…
 
Top