Old Lyrics Na Apna Tha Jo Kal Guzara Lyrics - Jeevan Rekha (1974)

Goku

Prime VIP
Staff member
Apni nazaro se bahut dur chhupa du khud ko
Jee me aata hai ki kahi rakh ke bhula du khud ko
Na apna tha jo kal guzara
Jo ab hai woh hai gairo ka
Nahi ummid ab koi hamara kal bhi kya hoga
Hamara kal bhi kya hoga
Na apna tha jo kal guzara

Badi ranayiya hongi jahan me ham nahi honge
Badi ranayiya hongi jahan me ham nahi honge
Hamare ek na hone se fasane kam nahi honge
Hamara aaj charcha hai toh kal auro ka phir hoga
Na apna tha jo kal guzara
Jo ab hai woh hai gairo ka
Nahi ummid ab koi hamara kal bhi kya hoga
Hamara kal bhi kya hoga
Na apna tha jo kal guzara

Ujadane ko hai phir mehfil nayi aabad kar lena
Ujadane ko hai phir mehfil nayi aabad kar lena
Nayi buniyaad jab rakho hame bhi yaad kar lena
Dukhana dil ko na hargij dukhakar dil ko kya hoga
Na apna tha jo kal guzara
Jo ab hai woh hai gairo ka
Nahi ummid ab koi hamara kal bhi kya hoga
Hamara kal bhi kya hoga
Na apna tha jo kal guzara.
 
Top