kya ye bhi zindagi hai ki raahat kabhi na ho
aisi bhi to kisi se mohabbat kabhi na ho
vaada zaroor karte hain aate nahin kabhi
phir ye bhi chahte hain shiqayat kabhi na ho
dil chahta hai phir wohi fursat ke raat din
mujhko tere khayaal se fursat kabhi na ho