Mujhko khud apna aaks bhi dhundla bahut laga..

~¤Akash¤~

Prime VIP
Magroor hi sahi mujhe achcha bahut laga,
Ajnabi to tha magar apna bahut laga,
Sehra mein jo jee raha tha dirya dili ke saath,
Dekha jo gor se to woh pyasa bahut laga,
Wo jiske daam kadam se thin basti ki ronnakein,
Basti ujad gayi to akela bahut laga,
Lipta hua kaher mein khizan ka chand,
Maile libas mein bhi woh pyara bahut laga,
Resham pehan ke bhi meri kimat na bad saki,
Khadar bhi uske jism par mehnga bahut laga,
Jab aaine pe meri saans jam gayi,
Mujhko khud apna aaks bhi dhundla bahut laga..
 
Top