Old Lyrics Mohe Chhota Mila Bhartaar Lyrics - Geet Gaata Chal (1975)

Goku

Prime VIP
Staff member
Ho mohe chota mila bhartar
Jawani kaise kate
Badi mushkil me hu mai sarkar
Jawani kaise kate
Mohe chota mila bhartar
Jawani kaise kate

Jab aayega pee ka jamana
Hamri jawani dhal jayegi
Jab aayega pee ka jamana
Hamri jawani dhal jayegi
Haye haye jab jagega nadiya ka pani
Tab tak bagiya jal jayegi
Yahi hasne ke din hai char
Jawani kaise kate
Mohe chota mila bhartar
Jawani bolo kaise kate

Phul bada or bhawra chota
Par sara ras pee leta hai
Ek choti si sui se darji
Lakho kapde see leta hai
Tum kar ke dekho to pyar
Jawani rani aise kate
Are tum kar ke dekho to pyar
Jawani rani aise kate

Na dadi na much piya ki
Badi badi bate kare hai anadi
Na dadi na much piya ki
Badi badi bate kare hai anadi
Haye haye dudh ke
Dant bhi ukhde na jiske
Kya hamnashi wo bat hamari
Badi jalim jawani ki mar
Jawani kaise kate
Mohe chota mila bhartar
Jawani bolo kaise kate

Jis joban ka man karo tum
Wo to hai bas bahta pani
Bagi jaye hath na aaye
So so barso ki jindgani
Apne hal pe jo rota hai
Us par mujhko dukh hota hai
Apne hal pe jo rota hai
Us par mujhko dukh hota hai
Auro ki khatir ji kar dekho
Kitna sacha sukh hota hai
Tan man pe karo adhikar
Jawani aise kate
Chodo chodo dhire takrar
Jawani kaise kate
Karle karle karle balam se pyar
Jawani aise kate
Mohe chota mila bhartar
Jawani bolo kaise kate.
 
Top