mile jab kabhi vo to puchu mai usase ki

~¤Akash¤~

Prime VIP
"♥♥
Sapno me ek chehara dhundhlane laga
kya ye vahi hoga jiska intjaar rahne laga hai…
dekha na kabhi use, na kabhi jaana
phir bhi na jaane kyon vo apna saa lagne laga hai…
uske hi sapne ab to hai jagti aankhon me
ab to sirf uska hi intjaar rahne laga hai…
hatho me uska likhu apne naam ke saath
kitabo me uski hi chap lagne lagi hai…
ye kaisa ahsaas hai jo kabhi na huaa
ab to jaagti aankho me vahi rahne laga hai…"
chahkar bhi use bhul naa paau kaisa hai ye karar
duri chahu jitni bhi usase paas vo rahne laga hai…
jaau jaha bhi lage nigahe dhudti hai usaki mujhe
yaadon me ab to sirf usaki hi yaade rahane lagi hai…
kaun hai ye anjaana jo neeli raton ki neend chura le gaya
waqt-bewaqt ab to mai jaange lagi hoon
jaane vo kaun hoga jisaka ab mujhe intjaar rahne laga hai…
mile jab kabhi vo to puchu mai usase ki
…………………KYAA YAHI PYAR HAI..♥♥
 
Top