Lyrics Mera Jeena Hai Kya - Aashayein (2010)

dc16

- dEsPeraTe cRaNky -
Ab duniya se shikwa nahi hai
Na raha ab zindagi se gila
Kis ka karam hai, kis ki dua hai
Ya naseebon se tu mujh ko mila
Ab jo mile ho, door na jaana
Tere bina dil lagta nahi
Mera jeena hai kya, marna hai kya, jab saath tera nahi
Paake rab kya karun, jab tu hi mera nahi

I never gonna live without you baby now
You'll be only one who'll always be my fantasy
You'll be only one to make me reach my ecstacy
I don't want nobody else but you
I'm lovin you, I'm lovin you

Berang se din the, tanha thi raatein
Kuch na badalta, jo tum na aate
Berang se din the, tanha thi raatein
Kuch na badalta, jo tum na aate
Kehne ko yun toh rishte kayi hain
Rishton mein koi apna nahi
Mera jeena hai kya, marna hai kya, jab saath tera nahi
Paake rab kya karun, jab tu hi mera nahi
Mera jeena hai kya, marna hai kya, jab saath tera nahi
Paake rab kya karun, jab tu hi mera nahi

Kyun chuph gaya hai, akhiyon ko meechay
Sharm-o-haya ke pardon ke peechay
Kyun chuph gaya hai, akhiyon ko meechay
Sharm-o-haya ke pardon ke peechay
Apne sanam se parda hai kaisa
Jab ke khuda se parda nahi

Top