Mauhaal hay............

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tujhay kiya sunaon ay dilruba teray samnay mera haal hay...

*teri ek nigah ki baat hay meri zindagi ka sawal hay....

*meri har khushi teray dam say hay meri zindagi teray ghum say hay....

*teray dard say rahay bekhabar meray dil ki kab yeh majaal hay...

*teray hussn per hay meri nazar mujhay subhah shaam ki kiya khabar....

*meri shaam teri justajuu meri subhuu tera khayal hay...

*meray dil jigar mein sama bhi ja rahay kiyon nazar ka bhi faasla...

*keh teray baghair tou janay jaan mujhay zindagi bhi mauhaal hay............
 
Top