Lyrics Master Saleem, Shahid Mallya - Kya Hoga - Dedh Ishqiya- 2014

→ ✰ Dead . UnP ✰ ←

→ Pendu ✰ ←
Staff member
Song : Kya Hoga
Film : Dedh Ishqiya ( 2014)
Lyrics : Gulzar
Music : Vishal Bhardwaj
Singer : Master Saleem, Shahid Mallya


****************************************

Naina re aa..
Aana.. aa... re.. re... aa...

Dil ka diya.. shab bhar jala..
Tere liye o piya.. aa.. aa..
Jaate hue, jaate hue
Keh ke gaya, keh ke gaya
Yaar didaar didaar...

Dil to diya hai, jaan bhi de dein
Aur nazrana kya hoga
[Kya hoga.. kya hoga..]
Lau ko chhu ke laut aaya jo
Woh parwana kya hoga
Aa....
Lau ko chhu ke laut aaya jo
Woh parwana kya hoga

Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Sar pe falak hai, falak pe sitaare..
Sitaare...
Aji hamne to dekhe hain aankhon mein saare..
Ho.. palkein jhukaane se kya hoga
Palkein jhukaane se kya hoga

Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Dil ka diya.. shab bhar jala..
Tere liye o piya.. aa...

Kya kya bataayein ke kin kin zamanon mein
Dekha hai hamne tumhein
[O piya ji piya..]
Rumaani mausam ki sab dastanon mein
Dekha hai hamne tumhein
[O piya ji piya..]
O piya ji piya..
More piya ji, more piya ji..
More piya ji, piya ji, piya ji piya...
Piya ji, piya ji, more piya..
Piya ji, piya ji, piya ji piya... aa..
More piya ji piya, piya ji piya..

Jana tu baarish ki aawaz mein..
Kabhi chhaon ke andaz mein..
Kabhi udti hui dhoop mein..
Kabhi khushbu ki badmaz mein..

Udte guzarte jo nadiya ne dekha..
Paani pe parchhayi sehla ke dekha
Ho katra ke ab hamse kya hoga
Katra ke ab hamse kya hoga..
Kya hoga, kya hoga, kya hoga..
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga..
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Aa.... aa... aa...
Ae zindagi us pe var ke aaye...
Saare ehsaan utaar ke aaye.. aa..
Hamne taare utaare the lekin
Usne to aasman loot liya

Loot liya bhai loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..
Loot liya bhai loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..

Parda uthaai ke, ghunghat giraai ke
Parda uthaai ke, ghunghat giraai ke
Chain hamara loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Nazar uthaai aur..
Nazar uthaai aur, palkein gira ke loot liya..
Nazar uthaai aur, palkein gira ke loot liya..
Salam-e-shauk ne kuchh is tarah se loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya

Na jaane khoon hua... aa..
Na jaane khoon hua, kitni aarzuon ka
Na jaane khoon hua.. kitni aarzuon ka
Labon mein paan ki surkhi laga ke loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..

Wafa se loota kabhi kabhi aur kabhi zafa se loot liya
Wafa se loota kabhi kabhi aur kabhi zafa se loot liya
Sitam sitam hai, sitam sitam hai..
Sitam, sitam, sitam har adaa pe loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya...
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya...
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya.
 
Top