Full Lyrics Marham – SP Chauhan - Sonu Nigam - Abhendra Kumar Upadhyay - Vibhas - Lyrics

Goku

Prime VIP
Staff member
Woh jo kabhi sardiyon mein dhoop si thi
Garmiyon mein chhanv si maujoodgi teri
Kahan gayi

Woh patjhad ke mausamon mein
Ek haryali si jo laaye the
Woh baarishein kahan chali gayi
Ab aakhein meri tujhe dhoonda karein
Tu mile na agar to yeh roya karein

Faasle yeh kam karoon
Main kisi tarah
Dard mein marham banu
Main kisi tarah x (2)

Mere maathe pe silwatein jo hain
Aake inhein mita do na
Aansu mere bhatakte phirte hain
Aake inhein panaah do na

Kuchh kami si hai
Kuchh nami si hai
Aansuon se bhara hoon main
Band teri aankhein jab se hain
Saans roke khada hoon main
Saans roke khada hoon main

Zakham ko tere bharoon
Main kisi tarah
Dard mein marham banu
Main kisi tarah
 
Top