Maine usse ek ishara kiya

@n@@m

unknown but known to all
Maine usse ek ishara kiya
Usne salaam likh ke bheja.Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne chand likh ke bheja.

Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara aasmaan likh ke bheja.

Maine pucha kab miloge?
Usne qyamat ki sham likh ke bheja.

Maine pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.

Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne..Mera hi naam likh ke bhejaa…​

writer:- unknown
 
Top