Old Lyrics Main Wohi Darpan Wohi Lyrics - Geet Gaata Chal (1975)

Goku

Prime VIP
Staff member
Mai wahi darpan wahi
Mai wahi darpan wahi
Naa jaane ye kyaa ho gayaa
Ki sab kuchh laage naya naya
Ki sab kuchh laage naya naya
Mai wahi darpan wahi

Ik jaadu ki chhadi
Tan mann pe padi
Ik jaadu ki chhadi
Tan mann pe padi
Mai jahaa ki reh
Gayi wahi pe khadi
Ghar wahi aangan wahi
Mera ghar wahi aangan wahi
Naa jaane ye kyaa ho gayaa
Ki sab kuchh laage naya naya
Ki sab kuchh laage naya naya
Mai wahi darpan wahi

Kahi dur papihaa
Bole piyaa piyaa
Kahi dur papihaa
Bole piyaa piyaa
Ud jaane ko bekal
Hai mora jiyaa
Dil wahi dhadakan wahi
Re mera dil wahi
Dhadakan wahi
Naa jaane ye kyaa ho gayaa
Ki sab kuchh laage naya naya
Ki sab kuchh laage naya naya
Ki sab kuchh laage naya naya.
 
Top