Main ney kaha sitaron ka koi shumar nahin...

~¤Akash¤~

Prime VIP
Main ney kaha sitaron ka koi shumar nahin...
Us ney kaha k kon tumhen hai bohat aziz ...
Main ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai...
Us ney kaha Kon sa Tofah tumhen main doon...
MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai...
Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz...
Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai...
Us ney kaha senkron gham zindagi main hain...
Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai...
Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gay...
Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai...
Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah...
Main ney kaha, naam mera aitbaar hai...
 
Top