Old Lyrics Main Kachhe Angoor Ki Bel Lyrics - Chori Mera Kaam (1975)

Goku

Prime VIP
Staff member
Main main main
Main kachhe angoor ki bel
Main kachhe angoor ki bel
Aayi karne dilo ka mail
Mera pyar hai aawara
Mera pyar hai aawara
Uske sine se lag jau
Jo de mujhe sahara
Arey uske sine se lag jau
Jo de mujhe sahara
Kya khayal hai tumhara
Hamara tumhara nahi
Hamara arey dene ko
Taiyar hu main sahara
Ha sahara na hone
Dunga main pyar tera
Aawara ha aawara
Main angur tu hai bail
Tera mera hoga mail
Main angur tu hai bail
Tera mera hoga mail
Sari duniya humko dekh ke
Khele pyar ka aisa khel
Le le wade ha ha wade le le
Sache ye irade
Ha irade nahi kachhe

Ispe to haq hai mera ha ha mera
Nahi zor chalega tera ha ha tera
Ye hai dil main hu jaan
Ye hansi main hu jawa
Ye hai meri meharba
Tu kaha ye kaha ye hai
Tuja tu kharbuja
Ye hai tuja tu kharbuja
Arey wah arey ja arey wah arey ja
Arey ja ja ja ja ja ja aji
Chhodo ye takrar
Chhodo ye takrar main tujhse
Aayi hu karne pyar
Arey hum bhi hai taiyar
Arey hum bhi hai taiyar
Uske sine se lag jau
Jo de mujhe sahara
Tu hi ab do kar do faisla
Kisko dogi sahara
Main kya khayal hai
Aapka mera ya mere bap ka

Arey husn to mange jawani, jawani
Arey husn to mange jawani, jawani
Ye to bat badi hai purani
Is umar mein ye nadani
Kya kya mujhe dekh huyi hairani
Ye baat nahi hai zubani
Kar sakta hu main manmani
Mere raste mein na aa
Main kahta hu tu hat ja
Aye bhude kabutar kya bat hai putar
Aye bhude kabutar kya kya baat hai putar
Agar main josh dikha dunga
Main tere hosh uda dunga
Tujhe tare dikha dunga
Tujhe nani yaad kara dunga
Ye pichke gal to dekh tu apna hal to dekh
Ha maine kai khel hai khele
Maine kai papad hai pele

Maine kai khel hai khele
Maine kai papad hai pele
Ha ha pele hoge pele hoge mujhe
Jane hai ye zamana
Zamana ho mujhe jane hai
Ye zamana zamana
Main bhi aashiq bada purana purana
Teri teri kamar ka nahi hai
Thikana thikana
Meri kamar ka nahi thikana to kya hua
Sina hai mardana,
Mera sina hai mardana
Ho mera sina hai mardana
Ho mera sina ho mardana.
 
Top